full shayari
Hum kho gay to rahon me dhunda karo gay tum
 Hum kho gay to rahon me dhunda karo gay tum,
Har aik ko rok rok key pucha karo gay tum,
Hum kehtey they hum se bharhuo na dosti,
Tanhai me beth kar phir roya karo gay tum.

Tere hontoon pe saj jaon dua honay ko ge chahta hai,
mera duniya bhula kar bas tera honay ko ge chahta hai,
yun sab ke samne ithkheliyan karti hai ye tujh se,
ke beiraada he hawa honay ko ge chahta hai.

KABHI YAAD AYE TO AIK BAR KEHNA
KABHI AANSU BANKE IN AKHON SE BEHNA
DOST NAHI SAHI TO AJNABEE HI REHENA
PAR KABHI ALWIDA NA KEHNA.

Bikhri howi zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo.

Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye,
Kisi se pyar na kar Khuda ke liye…
Jab lagegi ishq ki adalat ek din,
Tum hi chuney jaoge saza ke liye.

Samandar main utarta hon to ankhain bheeg jati hain,
Tery ankhoon ko partha hon to ankhain bheeg jati hain,
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gai jab say,
Koi bhi lafz likhta hon to ankhain bheeg jati hain.

Is ki ankhoon main mohabat ka sitara hoga,
Aik din aaye ga woh shakhs hamara hoga,
Tum jahan meray liye sippian chunty hoge,
Wo kisi or hi dunya ka kinara hoga.

Mera dil ka dard kisne dekha hai, mujhe
bas khuda ne tadpte dekha hai,
hum tanhai main baithe rote hain,
logon ne hamain mehfil me hanste dekha hai….!

Dil k rishtey bhi kitney ajeeb hotey hain,
Door reh ker bhi kitney qareeb hotey hain,
jo log aapko roz dekhtey hain,
woh log kitney khush naseeb hotey hain.

Mila woh bhi nahi kertey,
Mila ham bhi nahi kertey.
Wafa woh bhi nahi kertey,
Jafa ham bhi nahi kertey.
Unhain ruswai ka dukh hai,
Hamain tanhai ka gham hai.
Gila woh bhi nahi kertey,
Gila ham bhi nahi kertey.
Kisi moar per takrao ho jata hai aksar,
Ruka woh bhi nahi kertey,
Ruka ham bhi nahi kertey.