full shayari
MAA TERE BINA
Khwabon Ki Tasveer Dekta Hun Unki Aankhon Mein
Chaand Ki Roshni Ko Mehsoos Karta Hun Unki Panahon Mein
Main Kya Hun Is Zindagi Mein Meri Pehchaan Hai Kya
Tere Naam Se Judi Har Saans Keh Rahi Hai Sada
Meri Maa Tere Bina Duniya Kitni Sooni Sooni Hai
Jeena Tere Bin Yahan Bas Meri Majboori Hai…

MAA SE ITNA PYAAR
Dekhun Jo Teri Aankhon Ko Mera Har Sapna Jaag Jaaye
Sunoo Jo Teri Baaton Ko Kuch Jajba Bas Jaaye
Chahun Main Aur Kya Is Zindagi Se
Mangu Main Aur Kya Us Khuda Ki Roshni Se
Jo Maa Tujhse Itna Pyaar Mil Jaye

MAA KI MAMTA
Maa Se Pyara To Koi Bol Ho Nahi Sakta,
Maa Ki Mamta Ka Koi Mol Ho Nahi Sakta,
Khud Nahi Khati Hai Bachcho Ko Khila Deti Hai,
Waqt Pe Thapkiya De De Sula Deti Hai,
Sach To Ye Hai K Wo Shhaqs Hai Sabse Gareeb,
Maa Ka Saaya Hota Nahi Jise Duniya Me Nasseeb,
Zakhm Jab Bacche Ko Lagta Hai To Maa Roti Hai,
Aisi Nisbat Kisi Aur Rishte Me Kahan Hoti Hai…


CHANCHAL LADKI JAISI MAA
Besan Ki Sondhi Roti Per Khatti Chatni Jaisi Maa
Yaad Aata Hai Chauka-Baasan, Chimta, Fukani Jaisi Maa

Baan Ki Khurri Khaat Ke Uper Har Aahat Per Kaan Dhare
Aadhi Soyi Aadhi Jaagi Thaki Duphari Jaisi Maa

Chidiyon Ki Chehkar Mein Goonje Radha Mohan, Ali-Ali
Murgey Ki Aawaz Se Khulti, Ghar Ki Kundi Jaisi Maa

Biwi, Beti, Behan, Padoshan Thodi Thodi Si Sab Mein
Dinbhar Ik Rassi Ke Uper Chalti Natni Jaisi Maa

Baant Ke Apna Chehra, Matha, Aankhein Jaane Kahan Gayi
Fatey-Purane Ik Album Mein Chanchal Ladki Jaisi Maa